Thursday 31 January 2013

apni ahsaso ko likhta hu to kahte ho dard likhta hai.

apni ahsaso ko likhta hu
 to kahte ho dard likhta hai.....
 zindagi ki haqiqat ko likhta hu
 to kahte ho dard likhta hai.......

 pahle dil me apna pyar jagate ho..... 
sath jiyenge marenge kasame khate ho.....
 phir achanak kisi gair ke liye dil tod jate ho...... 

 teri in bewfai ko likhta hu
 to kahte ho dard likhta hai .....
 haqiqat zindagi ki likhta hu
 to kahte ho dard likhta hai....... 

khusiyo ki rani ho tum
 dard kya janoge ....
 pariyo ki kahani ho tum
 dard kya janoge....
 lakho deewane ghumte ho
 jiske ird gird husn ki aisi jawani ho tum
 dard kya janoge ..... 

dard wo nahi jo jajbato me dikhta hai ..... 
dard wo nahi jo dil me pasizta hai .... 
dard wo hai jo  rato ko sone nahi deti ....
dard wo hai jo bheed me bhi kisika hone nahi deti .....
 marne to deti nhai hai kambhkt  jeene bhi nahi deti.....

 dard wo hai jo dil ko tadpata hai ....
dard wo hai jo subah sham rulata hai.....
dard wo hai jo ankho ko khalti hai .....
dard wo hai jo seene ko jalti hai ..... 
dard wo hai jo nabzo me bahti hai ....
dard wo hai jo nakami ko kahti hai..... 

phir isi nakami ko likhta hu 
to kahte ho dard likhta hai.... 
 hakikat zindagi ki likhta hu
 to kahte ho dard likhta hai

No comments:

Post a Comment

More